dil saf ho to jalwa-gah-e-yar kyun na ho
dil saaf ho to jalva-gah-e-yār kyuuñ na ho
ā.īna ho to qābil-e-dīdār kyuuñ na ho
'ālam tamām us kā giraftār kyuuñ na ho
vo nāz-pesha ek hai 'ayyār kyuuñ na ho
mustaġhyāna to jo kare pahle hī sulūk
'āshiq ko fikr-e-āqibat-kār kyuuñ na ho
rahmat ġhazab meñ nisbat-e-barq-o-sahāb hai
jis ko shu'ūr ho to gunahgār kyuuñ na ho
dushman to ik taraf ki sabab rashk kā hai yaañ
dar kā shiġhāf-o-raḳhna-e-dīvār kyuuñ na ho
āyāt-e-haq haiñ saare ye zarrāt-e-kā.enāt
inkār tujh ko hove so iqrār kyuuñ na ho
har-dam kī taaza marg-e-judā.ī se tañg huuñ
honā jo kuchh hai aah so yak-bār kyuuñ na ho
mū-e-safed ham ko kahe hai ki ġhāfilāñ
ab sub.h hone aa.ī hai bedār kyuuñ na ho
nazdīk apne ham ne to sab kar rakhā hai sahl
phir 'mīr' is meñ murdan-e-dushvār kyuuñ na ho
dil saf ho to jalwa-gah-e-yar kyun na ho
aaina ho to qabil-e-didar kyun na ho
'alam tamam us ka giraftar kyun na ho
wo naz-pesha ek hai 'ayyar kyun na ho
mustaghyana to jo kare pahle hi suluk
'ashiq ko fikr-e-aqibat-kar kyun na ho
rahmat ghazab mein nisbat-e-barq-o-sahab hai
jis ko shu'ur ho to gunahgar kyun na ho
dushman to ek taraf ki sabab rashk ka hai yan
dar ka shighaf-o-raKHna-e-diwar kyun na ho
aayat-e-haq hain sare ye zarraat-e-kaenat
inkar tujh ko howe so iqrar kyun na ho
har-dam ki taza marg-e-judai se tang hun
hona jo kuchh hai aah so yak-bar kyun na ho
mu-e-safed hum ko kahe hai ki ghafilan
ab subh hone aai hai bedar kyun na ho
nazdik apne hum ne to sab kar rakha hai sahl
phir 'mir' is mein murdan-e-dushwar kyun na ho
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0396
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.