juz jurm-e-ishq koi bhi sabit kiya gunah
juz jurm-e-ishq koī bhī sābit kiyā gunāh
nāhaq hamārī jaan lī achchhe ho vaah vaah
ab kaisā chaak chaak ho dil us ke hijr meñ
guththavāñ to laḳht-e-dil se nikaltī hai merī aah
shaam shab-e-visāl huī yaañ ki is taraf
hone lagā tulūa hī ḳhurshīd rū-siyāh
guzrā maiñ us sulūk se dekhā na kar mujhe
barchhī sī laag jā hai jigar meñ tirī nigāh
dāmān-o-jeb chaak ḳharābī-o-ḳhastagī
un se tire firāq meñ ham ne kiyā nibāh
betābiyoñ ko sauñp na denā kahīñ mujhe
ai sabr maiñ ne aan ke lī hai tirī panāh
ḳhūñ-basta baare rahne lagī ab to ye mizha
aañsū kī buuñd jis se Tapaktī thī gaah gaah
gul se shagufta daaġh dikhātā huuñ tere tiiñ
gar muvāfaqat kare hai tanik mujh se sāl-o-māh
gar manā mujh ko karte haiñ terī galī se log
kyūñkar na jā.ūñ mujh ko to marnā hai ḳhvā-maḳhvāh
nāhaq ulajh paḌā hai ye mujh se tarīq-e-ishq
jaatā thā 'mīr' meñ to chalā apnī raah raah
juz jurm-e-ishq koi bhi sabit kiya gunah
nahaq hamari jaan li achchhe ho wah wah
ab kaisa chaak chaak ho dil us ke hijr mein
guththawan to laKHt-e-dil se nikalti hai meri aah
sham shab-e-visal hui yan ki is taraf
hone laga tulua hi KHurshid ru-siyah
guzra main us suluk se dekha na kar mujhe
barchhi si lag ja hai jigar mein teri nigah
daman-o-jeb chaak KHarabi-o-KHastagi
un se tere firaq mein hum ne kiya nibah
betabiyon ko saunp na dena kahin mujhe
ai sabr main ne aan ke li hai teri panah
KHun-basta bare rahne lagi ab to ye mizha
aansu ki bund jis se Tapakti thi gah gah
gul se shagufta dagh dikhata hun tere tin
gar muwafaqat kare hai tanik mujh se sal-o-mah
gar mana mujh ko karte hain teri gali se log
kyunkar na jaun mujh ko to marna hai KHwa-maKHwah
nahaq ulajh paDa hai ye mujh se tariq-e-ishq
jata tha 'mir' mein to chala apni rah rah
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0426
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.