aaj-kal be-qarar hain hum bhi
āj-kal be-qarār haiñ ham bhī
baiTh jā chalne haar haiñ ham bhī
aan meñ kuchh haiñ aan meñ kuchh haiñ
tohfa-e-rozgār haiñ ham bhī
man'-e-girya na kar tū ai nāseh
is meñ be-iḳhtiyār haiñ ham bhī
darpai-e-jān hai qarāval marg
kisū ke to shikār haiñ ham bhī
naale kariyo samajh ke ai bulbul
baaġh meñ yak kanār haiñ ham bhī
mudda.ī ko sharāb ham ko zahr
āqibat dost-dār haiñ ham bhī
muztarib girya-nāk hai ye gul
barq-e-abr-e-bahār haiñ ham bhī
gar za-ḳhud rafta haiñ tire nazdīk
apne to yādgār haiñ ham bhī
'mīr' naam ik javāñ sunā hogā
usī āshiq ke yaar haiñ ham bhī
aaj-kal be-qarar hain hum bhi
baiTh ja chalne haar hain hum bhi
aan mein kuchh hain aan mein kuchh hain
tohfa-e-rozgar hain hum bhi
man'-e-girya na kar tu ai naseh
is mein be-iKHtiyar hain hum bhi
darpai-e-jaan hai qarawal marg
kisu ke to shikar hain hum bhi
nale kariyo samajh ke ai bulbul
bagh mein yak kanar hain hum bhi
muddai ko sharab hum ko zahr
aaqibat dost-dar hain hum bhi
muztarib girya-nak hai ye gul
barq-e-abr-e-bahaar hain hum bhi
gar za-KHud rafta hain tere nazdik
apne to yaadgar hain hum bhi
'mir' nam ek jawan suna hoga
usi aashiq ke yar hain hum bhi
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0465
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.