kali kahte hain us ka sa dahan hai
kalī kahte haiñ us kā sā dahan hai
sunā kariye ki ye bhī ik suḳhan hai
Tapakte dard haiñ aañsū kī jaagā
ilāhī chashm yā zaḳhm-e-kuhan hai
ḳhabar le pīr-e-kan.āñ kī ki kuchh aaj
nipaT āvāra bū-e-pairahan hai
nahīñ dāman meñ laala be-sutūñ ke
koī dil-e-dāġh ḳhūn-e-kohkan hai
shahādat-gāh hai bāġh-e-zamāna
ki har gul us meñ ik ḳhūnīñ-kafan hai
karūñ kyā hasrat-e-gul ko vagarna
dil par daaġh bhī apnā chaman hai
jo de ārām Tak āvārgī 'mīr'
to shām-e-ġhurbat ik sub.h-e-vatan hai
kali kahte hain us ka sa dahan hai
suna kariye ki ye bhi ek suKHan hai
Tapakte dard hain aansu ki jaga
ilahi chashm ya zaKHm-e-kuhan hai
KHabar le pir-e-kanan ki ki kuchh aaj
nipaT aawara bu-e-pairahan hai
nahin daman mein lala be-sutun ke
koi dil-e-dagh KHun-e-kohkan hai
shahadat-gah hai bagh-e-zamana
ki har gul us mein ek KHunin-kafan hai
karun kya hasrat-e-gul ko wagarna
dil par dagh bhi apna chaman hai
jo de aaram Tak aawargi 'mir'
to sham-e-ghurbat ek subh-e-watan hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0473
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.