duzdida nigah karna phir aankh milana bhi
duzdīda nigah karnā phir aañkh milānā bhī
is lauTte dāman ko paas aa ke uThānā bhī
pāmālī-e-āshiq ko manzūr rakhe jaanā
phir chaal kaDhab chalnā Thokar na lagānā bhī
burqā ko uThā denā par aadhe hī chehre se
kyā muñh ko chhupānā bhī kuchh jhamkī dikhānā bhī
dekh āñkheñ mirī nīchī ik mārnā patthar bhī
zāhir meñ satānā bhī parde meñ jatānā bhī
sohbat hai ye vaisī hī ai jaan kī āsā.ish
saath aan ke sonā bhī phir muñh ko chhupānā bhī
duzdida nigah karna phir aankh milana bhi
is lauTte daman ko pas aa ke uThana bhi
pamali-e-ashiq ko manzur rakhe jaana
phir chaal kaDhab chalna Thokar na lagana bhi
burqa ko uTha dena par aadhe hi chehre se
kya munh ko chhupana bhi kuchh jhamki dikhana bhi
dekh aankhen meri nichi ek marna patthar bhi
zahir mein satana bhi parde mein jatana bhi
sohbat hai ye waisi hi ai jaan ki aasaish
sath aan ke sona bhi phir munh ko chhupana bhi
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0955
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.