Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mahr ki tujhse tawaqqoa thi sitamgar nikla

Meer Taqi Meer

mahr ki tujhse tawaqqoa thi sitamgar nikla

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    mahr tujh se tavaqqo.a thī sitamgar niklā

    mom samjhe the tire dil ko so patthar niklā

    daaġh huuñ rashk-e-mohabbat se ki itnā betāb

    kis taskīñ ke liye ghar se bāhar niklā

    jiite aah tire kūche se koī na phirā

    jo sitam-dīda rahā ke so mar kar niklā

    dil ābādī is had hai ḳharābī ki na pūchh

    jaanā jaatā hai ki us raah se lashkar niklā

    ashk-e-tar qatra-e-ḳhūñ laḳht-e-jigar pārā-e-dil

    ek se ek adad aañkh se bah kar niklā

    kunj-kāvī jo siine ġham-e-hijrāñ ne

    is dafīne meñ se aqsām-e-javāhar niklā

    ham ne jaanā thā likhegā koī harf ai 'mīr'

    par tirā naama to ik shauq daftar niklā

    mahr ki tujh se tawaqqoa thi sitamgar nikla

    mom samjhe the tere dil ko so patthar nikla

    dagh hun rashk-e-mohabbat se ki itna betab

    kis ki taskin ke liye ghar se tu bahar nikla

    jite ji aah tere kuche se koi na phira

    jo sitam-dida raha ja ke so mar kar nikla

    dil ki aabaadi ki is had hai KHarabi ki na puchh

    jaana jata hai ki us rah se lashkar nikla

    ashk-e-tar qatra-e-KHun laKHt-e-jigar para-e-dil

    ek se ek adad aankh se bah kar nikla

    kunj-kawi jo ki sine ki gham-e-hijran ne

    is dafine mein se aqsam-e-jawahar nikla

    hum ne jaana tha likhega tu koi harf ai 'mir'

    par tera nama to ek shauq ka daftar nikla

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0046
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now