shab shama par patang ke aane ko ishq hai
shab sham.a par patañg ke aane ko ishq hai
us dil-jale ke taab ke laane ko ishq hai
sar maar maar sañg se mardāna jī diyā
farhād ke jahān se jaane ko ishq hai
uThiyo samajh ke jā se ki mānind-e-gard-bād
āvārgī se terī zamāne ko ishq hai
bas ai sip.har sa.ī se terī to roz-o-shab
yaañ ġham satāne ko hai jalāne ko ishq hai
baiThī jo teġh-e-yār to sab tujh ko khā ga.ī
ai siine tere zaḳhm uThāne ko ishq hai
ik dam meñ tū ne phūñk diyā do-jahāñ ke tiiñ
ai ishq tere aag lagāne ko ishq hai
saudā ho tab ho 'mīr' ko to kariye kuchh ilaaj
us tere dekhne ke divāne ko ishq hai
shab shama par patang ke aane ko ishq hai
us dil-jale ke tab ke lane ko ishq hai
sar mar mar sang se mardana ji diya
farhad ke jahan se jaane ko ishq hai
uThiyo samajh ke ja se ki manind-e-gard-baad
aawargi se teri zamane ko ishq hai
bas ai siphar sai se teri to roz-o-shab
yan gham satane ko hai jalane ko ishq hai
baiThi jo tegh-e-yar to sab tujh ko kha gai
ai sine tere zaKHm uThane ko ishq hai
ek dam mein tu ne phunk diya do-jahan ke tin
ai ishq tere aag lagane ko ishq hai
sauda ho tab ho 'mir' ko to kariye kuchh ilaj
us tere dekhne ke diwane ko ishq hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0540
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.