jab se us bewafa ne baal rakhe
jab se us bevafā ne baal rakhe
said bandoñ ne jaal Daal rakhe
haath kyā aave vo kamar hai hech
yuuñ koī jī meñ kuchh ḳhayāl rakhe
rah-rav-e-rāh ḳhaufnāk ishq
chāhiye paañv ko sambhāl rakhe
pahuñche har ik na dard ko mere
vo hī jaane jo aisā haal rakhe
aise zar dost ho to ḳhair hai ab
maliye us se jo koī maal rakhe
bahs hai nā-qishoñ se kaash falak
mujh ko is zumre se nikāl rakhe
samjhe andāz sher ko mere
'mīr' kā sā agar kamāl rakhe
jab se us bewafa ne baal rakhe
said bandon ne jal Dal rakhe
hath kya aawe wo kamar hai hech
yun koi ji mein kuchh KHayal rakhe
rah-raw-e-rah KHaufnak ishq
chahiye panw ko sambhaal rakhe
pahunche har ek na dard ko mere
wo hi jaane jo aisa haal rakhe
aise zar dost ho to KHair hai ab
maliye us se jo koi mal rakhe
bahs hai na-qishon se kash falak
mujh ko is zumre se nikal rakhe
samjhe andaz sher ko mere
'mir' ka sa agar kamal rakhe
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0541
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.