raat guzre hai mujhe naza mein rote rote
raat guzre hai mujhe naza.a meñ rote rote
āñkheñ phir jā.eñgī ab sub.h ke hote hote
khol kar aañkh uḌā diid jahāñ kā ġhāfil
ḳhvāb ho jā.egā phir jāgnā sote sote
daaġh ugte rahe dil meñ mirī naumīdī se
haarā meñ tuḳhm tamannā ko bhī buute buute
jī chalā thā ki tire hoñT mujhe yaad aa.e
la.al paa.eñ haiñ maiñ is jī hī ke khote khote
jam gayā ḳhuuñ kaf-e-qātil pe tarah 'mīr' zi-bas
un ne ro ro diyā kal haath ko dhote dhote
raat guzre hai mujhe naza mein rote rote
aankhen phir jaengi ab subh ke hote hote
khol kar aankh uDa did jahan ka ghafil
KHwab ho jaega phir jagna sote sote
dagh ugte rahe dil mein meri naumidi se
haara mein tuKHm tamanna ko bhi bute bute
ji chala tha ki tere honT mujhe yaad aae
lal paen hain main is ji hi ke khote khote
jam gaya KHun kaf-e-qatil pe tarah 'mir' zi-bas
un ne ro ro diya kal hath ko dhote dhote
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0558
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.