Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ramaq ek jaan-e-wabaal hai koi dam jo hai to azab hai

Meer Taqi Meer

ramaq ek jaan-e-wabaal hai koi dam jo hai to azab hai

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    ramaq ek jān-e-vabāl hai koī dam jo hai to azaab hai

    dil-e-dāġh gashta kabāb hai jigar gudāḳhta aab hai

    mirī ḳhalq mahv-e-kalām sab mujhe chhoḌte haiñ ḳhamosh kab

    mirā harf rashk-e-kitāb hai marī baat likhne baab hai

    jo vo likhtā kuchh bhī to nāma-bar koī rahtī muñh meñ tire nihāñ

    tirī ḳhāmushī se ye nikle hai ki javāb ḳhat javāb hai

    rahe haal dil jo ek to rujūa karte kahīñ bhalā

    so ye kabhū hama daaġh hai kabhū nīm-soz kabāb hai

    kaheñge kaho tumheñ log kyā yahī aarsī yahī tum sadā

    na kaso tum ko hai Tak hayā na hamāre muñh se hijāb hai

    chalo mai-kade meñ basar kareñ ki rahī hai kuchh barakat vahīñ

    lab-e-nā-tovāñ kabāb hai dam-e-ābvāñ sharāb hai

    nahīñ khultīñ āñkheñ tumhārī Tak ki ma.aal par bhī nazar karo

    ye jo vahm numūd hai use ḳhuub dekho to ḳhvāb hai

    ga.e vaqt aate haiñ haath kab hue haiñ gañvā ke ḳharāb sab

    tujhe karnā hove so kar ab ki ye umr barq-e-shattāb hai

    kabhū lutf se na suḳhan kyā kabhū baat kah na lagā liyā

    yahī lahza lahza ḳhitāb hai vahī lamha lamha itaab hai

    jahāñ ke bahr-e-amīq meñ sar par huā na buland kar

    ki ye panj-roza jo buud hai kaso mauj-e-pur habāb hai

    rakho aarzū mai-e-ḳhām karo guftugū ḳhat-e-jām

    ki siyāh caroñ se hashr meñ na hisāb hai na kitāb hai

    mirā shor sun ke jo logoñ ne kiyā pūchhnā kahe hai kyā

    jise 'mīr' kahte haiñ sāhibo ye vahī to ḳhāna-ḳharāb hai

    ramaq ek jaan-e-wabaal hai koi dam jo hai to azab hai

    dil-e-dagh gashta kabab hai jigar gudaKHta aab hai

    meri KHalq mahw-e-kalam sab mujhe chhoDte hain KHamosh kab

    mera harf rashk-e-kitab hai mari baat likhne ka bab hai

    jo wo likhta kuchh bhi to nama-bar koi rahti munh mein tere nihan

    teri KHamushi se ye nikle hai ki jawab KHat ka jawab hai

    rahe haal dil ka jo ek sa to rujua karte kahin bhala

    so tu ye kabhu hama dagh hai kabhu nim-soz kabab hai

    kahenge kaho tumhein log kya yahi aarsi yahi tum sada

    na kaso ki tum ko hai Tak haya na hamare munh se hijab hai

    chalo mai-kade mein basar karen ki rahi hai kuchh barakat wahin

    lab-e-na-towan ka kabab hai dam-e-abwan ka sharab hai

    nahin khultin aankhen tumhaari Tak ki maal par bhi nazar karo

    ye jo wahm ki si numud hai use KHub dekho to KHwab hai

    gae waqt aate hain hath kab hue hain ganwa ke KHarab sab

    tujhe karna howe so kar tu ab ki ye umr barq-e-shattab hai

    kabhu lutf se na suKHan kya kabhu baat kah na laga liya

    yahi lahza lahza KHitab hai wahi lamha lamha itab hai

    tu jahan ke bahr-e-amiq mein sar par hua na buland kar

    ki ye panj-roza jo bud hai kaso mauj-e-pur ka habab hai

    rakho aarzu mai-e-KHam ki karo guftugu KHat-e-jam ki

    ki siyah caron se hashr mein na hisab hai na kitab hai

    mera shor sun ke jo logon ne kiya puchhna tu kahe hai kya

    jise 'mir' kahte hain sahibo ye wahi to KHana-KHarab hai

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0571
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now