betabiyon mein tang hum aae hain jaan se
betābiyoñ meñ tang ham aa.e haiñ jaan se
vaqt-e-shakeb ḳhush ki gayā darmiyān se
dāġh-e-farāq-o-hasrat-e-vasl ārzū-e-dīd
kyā kyā liye ga.e tire 'āshiq jahān se
ham hāmushoñ kā zikr thā shab us kī bazm meñ
niklā na harf-e-ḳhair kisū kī zabān se
āb-e-ḳhizar se bhī na ga.ī sozish-e-jigar
kyā jāniye ye aag hai kis dūdmān se
juz 'ishq jañg-e-dahr se mat paḌh ki ḳhush haiñ ham
us qisse kī kitāb meñ us dāstān se
aane kā is chaman meñ sabab bekalī huī
juuñ barq ham taḌap ke gire āshiyān se
ab chheḌ ye rakkhī hai ki 'āshiq hai to kaheñ
al-qissa ḳhush guzartī hai us bad-gumān se
kiine kī mere tujh se na chāhegā koī daad
maiñ kah marūñgā apne har ik mehrbān se
dāġhoñ se hai chaman jigar-e-'mīr' dahr meñ
un ne bhī gul chune bahut us gulsitān se
betabiyon mein tang hum aae hain jaan se
waqt-e-shakeb KHush ki gaya darmiyan se
dagh-e-faraq-o-hasrat-e-wasl aarzu-e-did
kya kya liye gae tere 'ashiq jahan se
hum hamushon ka zikr tha shab us ki bazm mein
nikla na harf-e-KHair kisu ki zaban se
aab-e-KHizar se bhi na gai sozish-e-jigar
kya jaaniye ye aag hai kis dudman se
juz 'ishq jang-e-dahr se mat paDh ki KHush hain hum
us qisse ki kitab mein us dastan se
aane ka is chaman mein sabab bekali hui
jun barq hum taDap ke gire aashiyan se
ab chheD ye rakkhi hai ki 'ashiq hai to kahen
al-qissa KHush guzarti hai us bad-guman se
kine ki mere tujh se na chahega koi dad
main kah marunga apne har ek mehrban se
daghon se hai chaman jigar-e-'mir' dahr mein
un ne bhi gul chune bahut us gulsitan se
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0609
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.