hota hai yan jahan mein har roz-o-shab tamasha
hotā hai yaañ jahāñ meñ har roz-o-shab tamāshā
dekhā jo ḳhuub to hai duniyā ajab tamāshā
har chand shor-e-mahshar ab bhī hai dar pe lekin
niklegā yaar ghar se hovegā jab tamāshā
bhaḌke hai ātish-e-ġham manzūr hai jo tujh ko
jalne kā āshiqoñ ke aa dekh ab tamāshā
tāle.a jo miir ḳhvārī mahbūb ko ḳhush aa.ī
par ġham ye hai muḳhālif dekheñge sab tamāshā
hota hai yan jahan mein har roz-o-shab tamasha
dekha jo KHub to hai duniya ajab tamasha
har chand shor-e-mahshar ab bhi hai dar pe lekin
niklega yar ghar se howega jab tamasha
bhaDke hai aatish-e-gham manzur hai jo tujh ko
jalne ka aashiqon ke aa dekh ab tamasha
talea jo mir KHwari mahbub ko KHush aai
par gham ye hai muKHalif dekhenge sab tamasha
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0112
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.