idhar aa kar shikar-afgan hamara
idhar aa kar shikār-afgan hamārā
mushabbak kar gayā hai tan hamārā
garebāñ se rahā kotah to phir hai
hamāre haath meñ dāman hamārā
ga.e joñ sham.a us majlis meñ jitne
sabhoñ par haal hai raushan hamārā
balā jis chashm ko kahte haiñ mardum
vo hai ain-e-balā maskan hamārā
huā rone se rāz-e-dostī faash
hamārā girya thā dushman hamārā
bahut chāhā thā abr-e-tar ne lekin
na minnat-kash huā gulshan hamārā
chaman meñ ham bhī zanjīrī rahe haiñ
sunā hogā kabhū shevan hamārā
kiyā thā reḳhta parda-suḳhan kā
so Thahrā hai yahī ab fan hamārā
na bahke mai-kade meñ 'mīr' kyūñkar
giro sau jā hai pairāhan hamārā
idhar aa kar shikar-afgan hamara
mushabbak kar gaya hai tan hamara
gareban se raha kotah to phir hai
hamare hath mein daman hamara
gae jon shama us majlis mein jitne
sabhon par haal hai raushan hamara
bala jis chashm ko kahte hain mardum
wo hai ain-e-bala maskan hamara
hua rone se raaz-e-dosti fash
hamara girya tha dushman hamara
bahut chaha tha abr-e-tar ne lekin
na minnat-kash hua gulshan hamara
chaman mein hum bhi zanjiri rahe hain
suna hoga kabhu shewan hamara
kiya tha reKHta parda-suKHan ka
so Thahra hai yahi ab fan hamara
na bahke mai-kade mein 'mir' kyunkar
giro sau ja hai pairahan hamara
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0068
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.