Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har-dam taraf hai waise mizaj karaKHt ka

Meer Taqi Meer

har-dam taraf hai waise mizaj karaKHt ka

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    har-dam taraf hai vaise mizāj karaḳht

    TukḌā mirā jigar hai kaho sañg saḳht

    sabzān in jahāñ jalva-gāh thī

    ab dekhiye to vaañ nahīñ saaya daraḳht

    joñ barg-hā-e-lāla pareshān ho gayā

    mazkūr kyā hai ab jigar laḳht laḳht

    dillī meñ aaj bhiik bhī miltī nahīñ unheñ

    thā kal talak dimāġh jinheñ tāj-o-taḳht

    ḳhāk-e-siyah se meñ jo barābar huā huuñ 'mīr'

    saaya paḌā hai mujh pe kaso tīra-baḳht

    har-dam taraf hai waise mizaj karaKHt ka

    TukDa mera jigar hai kaho sang saKHt ka

    sabzan in ru ki jahan jalwa-gah thi

    ab dekhiye to wan nahin saya daraKHt ka

    jon barg-ha-e-lala pareshan ho gaya

    mazkur kya hai ab jigar laKHt laKHt ka

    dilli mein aaj bhik bhi milti nahin unhen

    tha kal talak dimagh jinhen taj-o-taKHt ka

    KHak-e-siyah se mein jo barabar hua hun 'mir'

    saya paDa hai mujh pe kaso tira-baKHt ka

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0087
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now