main bhi duniya mein hun ek nala-pareshan yak ja
maiñ bhī duniyā meñ huuñ ik nāla-pareshāñ yak jā
dil ke sau TukḌe mire par sabhī nālāñ yak jā
pand-goyoñ ne bahut siine kī tadbīreñ liiñ
aah sābit bhī na niklā ye garebāñ yak jā
terā kūcha hai sitamgār vo kāfir jāgah
ki jahāñ maare ga.e kitne musalmāñ yak jā
sar se bāñdhā hai kafan ishq meñ tere ya.anī
jam.a ham ne bhī kiyā hai sar-o-sāmāñ yak jā
kyūñke paḌte haiñ tire paañv nasīm-e-saharī
us ke kūche meñ hai sad ganj-e-shahīdāñ yak jā
tū bhī rone ko milā dil hai hamārā bhī bharā
hoje ai abr bayābān meñ giryāñ yak jā
baiTh kar 'mīr' jahāñ ḳhuub na royā hove
aisī kūche meñ nahīñ hai tire jānāñ yak jā
main bhi duniya mein hun ek nala-pareshan yak ja
dil ke sau TukDe mere par sabhi nalan yak ja
pand-goyon ne bahut sine ki tadbiren lin
aah sabit bhi na nikla ye gareban yak ja
tera kucha hai sitamgar wo kafir jagah
ki jahan mare gae kitne musalman yak ja
sar se bandha hai kafan ishq mein tere yani
jama hum ne bhi kiya hai sar-o-saman yak ja
kyunke paDte hain tere panw nasim-e-sahari
us ke kuche mein hai sad ganj-e-shahidan yak ja
tu bhi rone ko mila dil hai hamara bhi bhara
hoje ai abr bayaban mein giryan yak ja
baiTh kar 'mir' jahan KHub na roya howe
aisi kuche mein nahin hai tere jaanan yak ja
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0093
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.