dil pahuncha halaki ko nipaT khinch kasala
dil pahuñchā halākī ko nipaT khīñch kasālā
le yaar mire sallamahū allāh-ta.ālā
kuchh maiñ nahīñ us dil kī pareshānī kā bā'is
barham hī mire haath lagā thā ye risālā
ma'amūr sharāboñ se kabāboñ se hai sab dair
masjid meñ hai kyā shaiḳh piyāla na nivālā
guzre hai lahū vaañ sar har ḳhaar se ab tak
jis dasht meñ phūTā hai mire paañv kā chhālā
gar qasd udhar kā hai to Tak dekh ke aanā
ye der hai zahād na ho ḳhāna-e-ḳhālā
jis ghar meñ tire jalve se ho chāñdnī kā farsh
vaañ chādar mahtāb hai makḌī kā sā jaalā
dushman na kudūrat se mire sāmne ho jo
talvār ke laḌne ko mire kiijo havāla
nāmūs mujhe saafī tīnat kī hai varna
rustam ne mirī teġh kā hamla na sambhālā
dekhe hai mujhe dīda-e-pur-ḳhashm se vo 'mīr'
mere hī nasīboñ meñ thā ye zahr kā pyālā
dil pahuncha halaki ko nipaT khinch kasala
le yar mere sallamahu allah-taala
kuchh main nahin us dil ki pareshani ka ba'is
barham hi mere hath laga tha ye risala
ma'amur sharabon se kababon se hai sab dair
masjid mein hai kya shaiKH piyala na niwala
guzre hai lahu wan sar har KHar se ab tak
jis dasht mein phuTa hai mere panw ka chhaala
gar qasd udhar ka hai to Tak dekh ke aana
ye der hai zahad na ho KHana-e-KHala
jis ghar mein tere jalwe se ho chandni ka farsh
wan chadar mahtab hai makDi ka sa jala
dushman na kudurat se mere samne ho jo
talwar ke laDne ko mere kijo hawala
namus mujhe safi tinat ki hai warna
rustam ne meri tegh ka hamla na sambhaala
dekhe hai mujhe dida-e-pur-KHashm se wo 'mir'
mere hi nasibon mein tha ye zahr ka pyala
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0099
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.