juda jo pahlu se wo dilbar yagana hua
judā jo pahlū se vo dilbar yagāna huā
tapish kī yaañ ta.iiñ dil ne ki dard shāna huā
jahāñ ko fitne se ḳhālī kabhū nahīñ paayā
hamāre vaqt meñ to aafat zamāna huā
ḳhalish nahīñ kaso ḳhvāhish kī raat se shāyad
sarishk-e-yās ke parde meñ dil ravāna huā
ham apne dil kī chale dil hī meñ liye yaañ se
hazār haif sar-e-harf us se vā na huā
khulā nashe meñ jo pagḌī kā pech us kī 'mīr'
samand-e-nāz pe ek aur tāziyāna huā
juda jo pahlu se wo dilbar yagana hua
tapish ki yan tain dil ne ki dard shana hua
jahan ko fitne se KHali kabhu nahin paya
hamare waqt mein to aafat zamana hua
KHalish nahin kaso KHwahish ki raat se shayad
sarishk-e-yas ke parde mein dil rawana hua
hum apne dil ki chale dil hi mein liye yan se
hazar haif sar-e-harf us se wa na hua
khula nashe mein jo pagDi ka pech us ki 'mir'
samand-e-naz pe ek aur taziyana hua
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0114
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.