kis sham se uTha tha mere dil mein dard sa
kis shaam se uThā thā mire dil meñ dard sā
so ho chalā huuñ peshtar-az-sub.h sard sā
baiThā huuñ juuñ ġhubār-e-za.īf ab vagarna meñ
phirtā rahā huuñ galiyoñ meñ āvāra-gard sā
qasd-e-tarīq-e-ishq kiyā sab ne ba.ad-e-qais
lekin huā na ek bhī us rah-navard sā
hāzir yarāq-e-be-mazgī kis ghaḌī nahīñ
ma.ashūq kuchh hamārā hai āshiq-nabard sā
kyā 'mīr' hai yahī jo tire dar pe thā khaḌā
namnāk-chashm-o-ḳhushk-lab o rañg zard sā
kis sham se uTha tha mere dil mein dard sa
so ho chala hun peshtar-az-subh sard sa
baiTha hun jun ghubar-e-zaif ab wagarna mein
phirta raha hun galiyon mein aawara-gard sa
qasd-e-tariq-e-ishq kiya sab ne baad-e-qais
lekin hua na ek bhi us rah-naward sa
hazir yaraq-e-be-mazgi kis ghaDi nahin
mashuq kuchh hamara hai aashiq-nabard sa
kya 'mir' hai yahi jo tere dar pe tha khaDa
namnak-chashm-o-KHushk-lab o rang zard sa
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0136
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.