yar ajab tarah nigah kar gaya
yaar ajab tarah nigah kar gayā
dekhnā vo dil meñ jagah kar gayā
tañg qabā.ī kā samāñ yaar kī
pairahan ġhuncha ko tah kar gayā
jaanā hai us bazm se aayā to kyā
koī ghaḌī go ki tū rah kar gayā
vasf ḳhat-o-ḳhāl meñ ḳhūbāñ ke 'mīr'
nāma-e-a.amāl siyah kar gayā
yar ajab tarah nigah kar gaya
dekhna wo dil mein jagah kar gaya
tang qabai ka saman yar ki
pairahan ghuncha ko tah kar gaya
jaana hai us bazm se aaya to kya
koi ghaDi go ki tu rah kar gaya
wasf KHat-o-KHal mein KHuban ke 'mir'
nama-e-amal siyah kar gaya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0143
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.