Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aah-e-sahar ne sozish-e-dil ko miTa diya

Meer Taqi Meer

aah-e-sahar ne sozish-e-dil ko miTa diya

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    āh-e-sahar ne sozish-e-dil ko miTā diyā

    us baav ne hameñ to diyā bujhā diyā

    samjhī na bād-e-sub.h ki aa kar uThā diyā

    is fitna-e-zamāna ko nāhaq jagā diyā

    poshīda rāz-e-'ishq chalā jaa.e thā sau aaj

    be-tāqatī ne dil vo parda uThā diyā

    us mauj-ḳhez dahr meñ ham ko qazā ne aah

    paanī ke bulbule tarah se miTā diyā

    thī laag us teġh ko ham se sau 'ishq ne

    donoñ ko mā'rke meñ gale se milā diyā

    sab shor-e-mā-o-man ko liye sar meñ mar ga.e

    yāroñ ko is fasāne ne āḳhir sulā diyā

    āvārgān-e-ishq pūchhā jo maiñ nishāñ

    musht-e-ġhubār le ke sabā ne uḌā diyā

    ajzā badan ke jitne the paanī ho bah ga.e

    āḳhir gudāz 'ishq ne ham ko bahā diyā

    kyā kuchh na thā azal meñ na taalā jo the durust

    ham ko dil-e-shikasta qazā ne dilā diyā

    goyā muhāsba mujhe denā thā 'ishq

    us taur dil chiiz ko maiñ ne lagā diyā

    muddat rahegī yaad tire chehre jhalak

    jalve ko jis ne maah ke se bhulā diyā

    ham ne to sādgī se kiyā bhī ziyāñ

    dil jo diyā thā so to diyā sar judā diyā

    boī kabāb soḳhta aa.ī dimāġh meñ

    shāyad jigar bhī ātish-e-ġham ne jilā diyā

    taklīf dard-e-dil 'abas ham-nashīñ ne

    dard-e-suḳhan ne mere sabhoñ ko rulā diyā

    un ne to teġh khīñchī thī par chalā ke 'mīr'

    ham ne bhī ek dam meñ tamāshā dikhā diyā

    aah-e-sahar ne sozish-e-dil ko miTa diya

    us baw ne hamein to diya sa bujha diya

    samjhi na baad-e-subh ki aa kar uTha diya

    is fitna-e-zamana ko nahaq jaga diya

    poshida raaz-e-'ishq chala jae tha sau aaj

    be-taqati ne dil ki wo parda uTha diya

    us mauj-KHez dahr mein hum ko qaza ne aah

    pani ke bulbule ki tarah se miTa diya

    thi lag us ki tegh ko hum se sau 'ishq ne

    donon ko ma'rke mein gale se mila diya

    sab shor-e-ma-o-man ko liye sar mein mar gae

    yaron ko is fasane ne aaKHir sula diya

    aawargan-e-ishq ka puchha jo main nishan

    musht-e-ghubar le ke saba ne uDa diya

    ajza badan ke jitne the pani ho bah gae

    aaKHir gudaz 'ishq ne hum ko baha diya

    kya kuchh na tha azal mein na tala jo the durust

    hum ko dil-e-shikasta qaza ne dila diya

    goya muhasba mujhe dena tha 'ishq ka

    us taur dil si chiz ko main ne laga diya

    muddat rahegi yaad tere chehre ki jhalak

    jalwe ko jis ne mah ke ji se bhula diya

    hum ne to sadgi se kiya ji ka bhi ziyan

    dil jo diya tha so to diya sar juda diya

    boi kabab soKHta aai dimagh mein

    shayad jigar bhi aatish-e-gham ne jila diya

    taklif dard-e-dil ki 'abas ham-nashin ne ki

    dard-e-suKHan ne mere sabhon ko rula diya

    un ne to tegh khinchi thi par ji chala ke 'mir'

    hum ne bhi ek dam mein tamasha dikha diya

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0144
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now