kya kahen apni uski shab ki baat
kyā kaheñ apnī us kī shab kī baat
kahiye hove jo kuchh bhī Dhab kī baat
ab to chup lag ga.ī hai hairat se
phir khulegī zabān jab kī baat
nukta-dānān-e-rafta kī na kaho
baat vo hai jo hove ab kī baat
kis kā rū-e-suḳhan nahīñ hai udhar
hai nazar meñ hamārī sab kī baat
zulm hai qahr hai qayāmat hai
ġhusse meñ us ke zer-e-lab kī baat
kahte haiñ aage thā butoñ meñ rahm
hai ḳhudā jāniye ye kab kī baat
go ki ātish-zabāñ the aage 'mīr'
ab kī kahiye ga.ī vo tab kī baat
kya kahen apni us ki shab ki baat
kahiye howe jo kuchh bhi Dhab ki baat
ab to chup lag gai hai hairat se
phir khulegi zaban jab ki baat
nukta-danan-e-rafta ki na kaho
baat wo hai jo howe ab ki baat
kis ka ru-e-suKHan nahin hai udhar
hai nazar mein hamari sab ki baat
zulm hai qahr hai qayamat hai
ghusse mein us ke zer-e-lab ki baat
kahte hain aage tha buton mein rahm
hai KHuda jaaniye ye kab ki baat
go ki aatish-zaban the aage 'mir'
ab ki kahiye gai wo tab ki baat
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0186
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.