aawegi meri qabr se aawaz mere baad
āvegī merī qabr se āvāz mere ba.ad
ubhreñge ishq-e-dil se tire raaz mere ba.ad
jiinā mirā to tujh ko ġhanīmat hai nā-samajh
khīñgā kaun phir ye tire naaz mere ba.ad
sham-e-mazār aur ye soz-e-jigar mirā
har shab kareñge zindagī nā-sāz mere ba.ad
hasrat hai is ke dekhne kī dil meñ be-qayās
aġhlab ki merī āñkheñ raheñ baaz mere ba.ad
kartā huuñ maiñ jo naale sar-anjām baaġh meñ
muñh dekho phir kareñge ham āvāz mere ba.ad
bin gul muā hī maiñ to pa tū jā ke lauTiyo
sehn-e-chaman meñ ai par-e-parvāz mere ba.ad
baiThā huuñ 'mīr' marne ko apne meñ musta.id
paidā na hoñge mujh se bhī jāñbāz mere ba.ad
aawegi meri qabr se aawaz mere baad
ubhrenge ishq-e-dil se tere raaz mere baad
jina mera to tujh ko ghanimat hai na-samajh
khinga kaun phir ye tere naz mere baad
sham-e-mazar aur ye soz-e-jigar mera
har shab karenge zindagi na-saz mere baad
hasrat hai is ke dekhne ki dil mein be-qayas
aghlab ki meri aankhen rahen baz mere baad
karta hun main jo nale sar-anjam bagh mein
munh dekho phir karenge hum aawaz mere baad
bin gul mua hi main to pa tu ja ke lauTiyo
sehn-e-chaman mein ai par-e-parwaz mere baad
baiTha hun 'mir' marne ko apne mein mustaid
paida na honge mujh se bhi jaanbaz mere baad
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0198
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.