mera andaza ghalat ho to bata de mujhko
mera andaza ghalat ho to bata de mujhko
Priyadarshi Thakur Khayal
MORE BYPriyadarshi Thakur Khayal
mirā andāza ġhalat ho to batā de mujh ko
tujh pe ilzām sivā ho to sazā de mujh ko
us ne āñkhoñ meñ jagah dī bhī to aañsū kī tarah
shāyad ik halkī sī jumbish bhī girā de mujh ko
terī nazroñ meñ mohabbat bhī hai ik khel to aa
maiñ karūñ tujh pe bharosa tū daġhā de mujh ko
maiñ ujālā huuñ to tanvīr mujhe apnī banā
aur añdherā huuñ to ai sham.a miTā de mujh ko
apnī taqdīr se Takrā.ūñ badal Dālūñ ise
itnī taufīq kabhī mere ḳhudā de mujh ko
kitnī der aur ruhāñsā mujhe rakkhegā 'ḳhayāl'
ab rulānā hai to phir saaf rulā de mujh ko
mera andaza ghalat ho to bata de mujh ko
tujh pe ilzam siwa ho to saza de mujh ko
us ne aankhon mein jagah di bhi to aansu ki tarah
shayad ek halki si jumbish bhi gira de mujh ko
teri nazron mein mohabbat bhi hai ek khel to aa
main karun tujh pe bharosa tu dagha de mujh ko
main ujala hun to tanwir mujhe apni bana
aur andhera hun to ai shama miTa de mujh ko
apni taqdir se Takraun badal Dalun ise
itni taufiq kabhi mere KHuda de mujh ko
kitni der aur ruhansa mujhe rakkhega 'KHayal'
ab rulana hai to phir saf rula de mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.