mera bichhDa ranjhan moD sajan
mirā bichhḌā rāñjhan moḌ sajan
mujhe chaah na koī aur sajan
maiñ ne oḌhā rañg-e-siyāh faqat
diye kañgan chūḌī toḌ sajan
maiñ ne tujh se sachchā ishq kiyā
dī saarī duniyā chhoḌ sajan
tirī yaad se bāhar niklūñ maiñ
mujhe aa kar yuuñ jhinjhoḌ sajan
maiñ har dargāh pe jā.ūñgī
ho sindh ho yā lahore sajan
koī dhāgā tujh se joḌe to
minnat kī bāñdhūñ Dor sajan
chal mujh se ishq dobāra kar
chal phir se naatā joḌ sajan
chal naam na de ik shaam hī de
mirī baat pe kar kuchh ġhaur sajan
tū ne māñgā hijr-e-judā.ī bas
kuchh maañg ke taktā aur sajan
mirā jurm mohabbat hai sā.īñ
maiñ huuñ zinda-dargor sajan
tirī diid mirā hajj-e-akbar
tirā naam paḌhūñ har por sajan
tujhe merī baat kā maan nahīñ
jā rahne de bas chhoḌ sajan
kyuuñ harjā.ī ko yaad kare
chal chhoḌ 'kañval' bas chhoḌ sajan
mera bichhDa ranjhan moD sajan
mujhe chah na koi aur sajan
main ne oDha rang-e-siyah faqat
diye kangan chuDi toD sajan
main ne tujh se sachcha ishq kiya
di sari duniya chhoD sajan
teri yaad se bahar niklun main
mujhe aa kar yun jhinjhoD sajan
main har dargah pe jaungi
ho sindh ho ya lahore sajan
koi dhaga tujh se joDe to
minnat ki bandhun Dor sajan
chal mujh se ishq dobara kar
chal phir se nata joD sajan
chal nam na de ek sham hi de
meri baat pe kar kuchh ghaur sajan
tu ne manga hijr-e-judai bas
kuchh mang ke takta aur sajan
mera jurm mohabbat hai sain
main hun zinda-dargor sajan
teri did mera hajj-e-akbar
tera nam paDhun har por sajan
tujhe meri baat ka man nahin
ja rahne de bas chhoD sajan
kyun harjai ko yaad kare
chal chhoD 'kanwal' bas chhoD sajan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.