mera chehra hi ilhami nahin tha
mirā chehra hī ilhāmī nahīñ thā
ke āñkheñ thiiñ magar paanī nahīñ thā
nigāheñ bas tumhāre zabt pe thiiñ
maiñ varna is qadar ziddī nahīñ thā
kisī dastak pe merī niiñd TuuTī
magar maiñ so gayā dil hī nahīñ thā
sar-e-dīvār chīḳheñ chīḳhtī thiiñ
pas-e-dīvār koī bhī nahīñ thā
jalan ye kah rahī thī jism merā
tumhāre lams se ḳhālī nahīñ thā
mera chehra hi ilhami nahin tha
ke aankhen thin magar pani nahin tha
nigahen bas tumhaare zabt pe thin
main warna is qadar ziddi nahin tha
kisi dastak pe meri nind TuTi
magar main so gaya dil hi nahin tha
sar-e-diwar chiKHen chiKHti thin
pas-e-diwar koi bhi nahin tha
jalan ye kah rahi thi jism mera
tumhaare lams se KHali nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.