mera chehra bhola o mahi
mirā chehrā bholā o maahī
par ruup sañpola o maahī
tirī tāl-se-tāl milā baiThī
mirā añg añg Dolā o maahī
koī raakh patañgoñ vaalī ho
jale husn kā sho'la o maahī
mujhe bhej nā apnī bastī kā
vahī uḌan-khaTolā o maahī
tirī sundartā pe hairāñ huuñ
mujhe darpan bolā o maahī
maiñ ne band kivāḌ bhī khol diye
maiñ ne man bhī kholā o maahī
mire nain nain sab daasī se
mirā jogī-cholā o maahī
tirā lams lahū meñ dauḌā hai
tū ne zahr sā gholā o maahī
tirī priit meñ sudh-budh kho baiThī
tire 'ishq ne raulā o maahī
mire rūp-sarūp ko pūjtā hai
tū hai sāñval Dholā o maahī
mujhe prem ke akhshar bhuul ga.e
koī pañdrah sola o maahī
mirā hār-siñghār bhī be-matlab
tirā dil be-molā o maahī
mujhe gur vyopār ke sikhlā de
zarā māsha-tolā o maahī
mera chehra bhola o mahi
par rup sanpola o mahi
teri tal-se-tal mila baiThi
mera ang ang Dola o mahi
koi rakh patangon wali ho
jale husn ka sho'la o mahi
mujhe bhej na apni basti ka
wahi uDan-khaTola o mahi
teri sundarta pe hairan hun
mujhe darpan bola o mahi
main ne band kiwaD bhi khol diye
main ne man bhi khola o mahi
mere nain nain sab dasi se
mera jogi-chola o mahi
tera lams lahu mein dauDa hai
tu ne zahr sa ghola o mahi
teri prit mein sudh-budh kho baiThi
tere 'ishq ne raula o mahi
mere rup-sarup ko pujta hai
tu hai sanwal Dhola o mahi
mujhe prem ke akhshar bhul gae
koi pandrah sola o mahi
mera haar-singhaar bhi be-matlab
tera dil be-mola o mahi
mujhe gur wyopar ke sikhla de
zara masha-tola o mahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.