mera dard-e-nihan hai aur main hun
mirā dard-e-nihāñ hai aur maiñ huuñ
nishāt-e-jāvedāñ hai aur maiñ huuñ
mohabbat jo kabhī ārām-jāñ thī
vahī ab nīsh-e-jāñ hai aur maiñ huuñ
ye jalvoñ kī farāvānī kā aalam
nigāh-e-be-zabāñ hai aur maiñ huuñ
mirā afsāna ab merā nahīñ hai
hadīs-e-dīgarāñ hai aur maiñ huuñ
huuñ mahv-e-husn-e-poshīda pas-e-gul
bahār-e-be-ḳhizāñ hai aur maiñ huuñ
ḳhirad mere junūñ par hañs rahī hai
talāsh-e-be-nishāñ hai aur maiñ huuñ
mera dard-e-nihan hai aur main hun
nishat-e-jawedan hai aur main hun
mohabbat jo kabhi aaram-jaan thi
wahi ab nish-e-jaan hai aur main hun
ye jalwon ki farawani ka aalam
nigah-e-be-zaban hai aur main hun
mera afsana ab mera nahin hai
hadis-e-digaran hai aur main hun
hun mahw-e-husn-e-poshida pas-e-gul
bahaar-e-be-KHizan hai aur main hun
KHirad mere junun par hans rahi hai
talash-e-be-nishan hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.