mera dil aa gaya jhaT-paT jhapaT mein
mirā dil aa gayā jhaT-paT jhapaT meñ
huā laT-paT lapaT zulfoñ kī laT meñ
numāyāñ hai vo nūr-chashm-e-mardum
palak kī paT meñ putlī kī uulaT meñ
agar dīdār ke paane kī hai chaah
le simran āñsuoñ kī rah rahaT meñ
har ik nāqūs meñ aatī hai āvāz
ki hai parghaT vo har har, har ke ghaT meñ
lagī hai chaT-paTī mat kar nipaT haT
chhupe mat laT-paTe ghūñgaT ke paT meñ
dil-e-dīvāna merā aa gayā hai
tirī zulfoñ ke saa.e kī jhapaT meñ
'sirāj' us sham'-rū ban jal gayā hai
nipaT hasrat ke sho'loñ kī lapaT meñ
mera dil aa gaya jhaT-paT jhapaT mein
hua laT-paT lapaT zulfon ki laT mein
numayan hai wo nur-chashm-e-mardum
palak ki paT mein putli ki ulaT mein
agar didar ke pane ki hai chah
le simran aansuon ki rah rahaT mein
har ek naqus mein aati hai aawaz
ki hai parghaT wo har har, har ke ghaT mein
lagi hai chaT-paTi mat kar nipaT haT
chhupe mat laT-paTe ghungaT ke paT mein
dil-e-diwana mera aa gaya hai
teri zulfon ke sae ki jhapaT mein
'siraj' us sham'-ru ban jal gaya hai
nipaT hasrat ke sho'lon ki lapaT mein
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 485)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.