mera dil jale to jala kare wahi kar jo tera KHayal hai
mera dil jale to jala kare wahi kar jo tera KHayal hai
Abdul Kareem Majrooh Siddiqi
MORE BYAbdul Kareem Majrooh Siddiqi
mirā dil jale to jalā kare vahī kar jo terā ḳhayāl hai
mire dil kī baat nahīñ nahīñ tire ghar ka ye to savāl hai
na to tāb-e-arz-e-savāl hai na to dam-zadoñ kī majāl hai
mirī ḳhāmoshī hai fuġhāñ ba-lab yahī qaal hai yahī haal hai
tire husn ka ye kamāl kyā ye majāl kyā ye ḳhayāl kyā
hai kamāl husn-e-nazar mirā na jamāl hai na ḳhayāl hai
mujhe bhā ga.ī tirī ye adā hai ajiib dil-kash-o-dil-rubā
tirī ik nazar hai javāb-e-kul mirī har nazar meñ savāl hai
nahīñ mujh ko tujh se gila koī tirī yaad ban ga.ī dil-rubā
shab-e-hijr ab mire vāste nahīñ hijr ye to visāl hai
tujhe degā dāġh-e-mafāriqat jise terā 'majrūh' kahte haiñ
zarā aa ke dekh le ik nazar ki qarīb vaqt-e-visāl hai
mera dil jale to jala kare wahi kar jo tera KHayal hai
mere dil ki baat nahin nahin tere ghar ka ye to sawal hai
na to tab-e-arz-e-sawal hai na to dam-zadon ki majal hai
meri KHamoshi hai fughan ba-lab yahi qal hai yahi haal hai
tere husn ka ye kamal kya ye majal kya ye KHayal kya
hai kamal husn-e-nazar mera na jamal hai na KHayal hai
mujhe bha gai teri ye ada hai ajib dil-kash-o-dil-ruba
teri ek nazar hai jawab-e-kul meri har nazar mein sawal hai
nahin mujh ko tujh se gila koi teri yaad ban gai dil-ruba
shab-e-hijr ab mere waste nahin hijr ye to visal hai
tujhe dega dagh-e-mafariqat jise tera 'majruh' kahte hain
zara aa ke dekh le ek nazar ki qarib waqt-e-visal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.