mera hi pur-sukun chehra bahut tha
mirā hī pur-sukūñ chehrā bahut thā
maiñ apne aap meñ bikhrā bahut thā
bahut thī tishnagī dariyā bahut thā
sarāboñ se Dhakā sahrā bahut thā
salāmat thā vahāñ bhī merā dāmāñ
bahāroñ kā jahāñ charchā bahut thā
unheñ Thahre samundar ne Duboyā
jinheñ tūfāñ kā andāzā bahut thā
uḌātā ḳhaak kyā maiñ dasht o dar kī
mire andar mirā sahrā bahut thā
zamīñ qadmoñ tale nīchī bahut thī
saroñ par āsmāñ ūñchā bahut thā
mera hi pur-sukun chehra bahut tha
main apne aap mein bikhra bahut tha
bahut thi tishnagi dariya bahut tha
sarabon se Dhaka sahra bahut tha
salamat tha wahan bhi mera daman
bahaaron ka jahan charcha bahut tha
unhen Thahre samundar ne Duboya
jinhen tufan ka andaza bahut tha
uData KHak kya main dasht o dar ki
mere andar mera sahra bahut tha
zamin qadmon tale nichi bahut thi
saron par aasman uncha bahut tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.