mera KHamosh rah kar bhi unhen sab kuchh suna dena
mirā ḳhāmosh rah kar bhī unheñ sab kuchh sunā denā
zabāñ se kuchh na kahnā dekh kar aañsū bahā denā
nasheman ho na ho ye to falak kā mashġhala Thahrā
ki do tinke jahāñ par dekhnā bijlī girā denā
maiñ is hālat se pahuñchā hashr vaale ḳhud pukār uTThe
koī fariyād vaalā aa rahā hai rāsta denā
ijāzat ho to kah duuñ qissa-e-ulfat sar-e-mahfil
mujhe kuchh to fasāna yaad hai kuchh tum sunā denā
maiñ mujrim huuñ mujhe iqrār hai jurm-e-mohabbat kā
magar pahle to ḳhat par ġhaur kar lo phir sazā denā
haTā kar ruḳh se gesū sub.h kar denā to mumkin hai
magar sarkār ke bas meñ nahīñ taare chhupā denā
ye tahzīb-e-chaman badlī hai bairūnī havāoñ ne
garebāñ-chāk phūloñ par kalī kā muskurā denā
'qamar' vo sab se chhup kar aa rahe haiñ fātiha paḌhne
kahūñ kis se ki merī sham-e-turbat ko bujhā denā
mera KHamosh rah kar bhi unhen sab kuchh suna dena
zaban se kuchh na kahna dekh kar aansu baha dena
nasheman ho na ho ye to falak ka mashghala Thahra
ki do tinke jahan par dekhna bijli gira dena
main is haalat se pahuncha hashr wale KHud pukar uTThe
koi fariyaad wala aa raha hai rasta dena
ijazat ho to kah dun qissa-e-ulfat sar-e-mahfil
mujhe kuchh to fasana yaad hai kuchh tum suna dena
main mujrim hun mujhe iqrar hai jurm-e-mohabbat ka
magar pahle to KHat par ghaur kar lo phir saza dena
haTa kar ruKH se gesu subh kar dena to mumkin hai
magar sarkar ke bas mein nahin tare chhupa dena
ye tahzib-e-chaman badli hai bairuni hawaon ne
gareban-chaak phulon par kali ka muskura dena
'qamar' wo sab se chhup kar aa rahe hain fatiha paDhne
kahun kis se ki meri sham-e-turbat ko bujha dena
- Book : Auj-Qamar (Pg. 72)
- Author : Ustad Sayed Mohd. Hussain Qamar Jalalvi
- Publication : Shaikh Shokat Ali And Sons (1952)
- Edition : 1952
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.