mera KHwab mera KHayal tu tera zikr hai meri guftugu
mera KHwab mera KHayal tu tera zikr hai meri guftugu
Asrarul Haq Asrar
MORE BYAsrarul Haq Asrar
mirā ḳhvāb merā ḳhayāl tū tirā zikr hai mirī guftugū
mirā har nafas tirī aarzū mirā har qadam tirī justujū
mujhe zid nahīñ magar aa bhī jā baḌā yās-o-ġham kā hujūm hai
tire dard kī mire zabt kī kahīñ luT na jaa.e ye aabrū
maiñ malāmatoñ kā shikār bhī mujhe kāfirī kā ḳhitāb bhī
mirī mai-kashī kā ḳhumār tū mirī bandagī kā shi.ār tū
ye kaThin to hai mire dosto mujhe mo.ajizoñ pe bhī hai yaqīñ
kabhī aa.e aisā bhī ek din ki use bhī ho mirī justujū
nahīñ aql-o-faham kī dastaras haiñ ajiib dil ke muāmle
kabhī nik.hatoñ se latīf-tar kabhī rasan-o-dār se dū-badū
tirā ruup bhī tirā rañg bhī tire gesuoñ kī mahak bhī thī
kabhī aa gayā huuñ jo daf.atan maiñ ḳhud apne aap ke rū-ba-rū
yūñhī ek halkī sī choT se vo na jaane kaise bikhar gayā
vo jo ḳhud ko kahtā thā āhanī baḌī sho.ala-bār thī guftugū
mera KHwab mera KHayal tu tera zikr hai meri guftugu
mera har nafas teri aarzu mera har qadam teri justuju
mujhe zid nahin magar aa bhi ja baDa yas-o-gham ka hujum hai
tere dard ki mere zabt ki kahin luT na jae ye aabru
main malamaton ka shikar bhi mujhe kafiri ka KHitab bhi
meri mai-kashi ka KHumar tu meri bandagi ka shiar tu
ye kaThin to hai mere dosto mujhe moajizon pe bhi hai yaqin
kabhi aae aisa bhi ek din ki use bhi ho meri justuju
nahin aql-o-faham ki dastaras hain ajib dil ke muamle
kabhi nikhaton se latif-tar kabhi rasan-o-dar se du-badu
tera rup bhi tera rang bhi tere gesuon ki mahak bhi thi
kabhi aa gaya hun jo dafatan main KHud apne aap ke ru-ba-ru
yunhi ek halki si choT se wo na jaane kaise bikhar gaya
wo jo KHud ko kahta tha aahani baDi shoala-bar thi guftugu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.