mera kumba bulaya ja chuka tha
mirā kumba bulāyā jā chukā thā
mirā mātam manāyā jā chukā thā
kahā mansūr ko thā piir maiñ ne
mujhe suulī chaḌhāyā jā chukā thā
havāle qabr ke karne se pahle
mirā putlā jalāyā jā chukā thā
lagā kar Tag ham par maslakoñ kā
hameñ ham se laḌāyā jā chukā thā
hamārī bastiyoñ ko Dūbnā thā
samundar ko hilāyā jā chukā thā
nahīñ maiñ ibn-e-mariyam jaisā lekin
mujhe zinda uThāyā jā chukā thā
'zafar' jis ko thā mere saath marnā
use amrit pilāyā jā chukā thā
mera kumba bulaya ja chuka tha
mera matam manaya ja chuka tha
kaha mansur ko tha pir main ne
mujhe suli chaDhaya ja chuka tha
hawale qabr ke karne se pahle
mera putla jalaya ja chuka tha
laga kar Tag hum par maslakon ka
hamein hum se laDaya ja chuka tha
hamari bastiyon ko Dubna tha
samundar ko hilaya ja chuka tha
nahin main ibn-e-mariyam jaisa lekin
mujhe zinda uThaya ja chuka tha
'zafar' jis ko tha mere sath marna
use amrit pilaya ja chuka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.