mera wajud shumar-e-nafas mein aaya nain
mirā vajūd shumār-e-nafas meñ aayā na.iiñ
tamām-umr maiñ sāñsoñ ke bas meñ aayā na.iiñ
nuqūsh-e-lams-e-haqīqat miTāne vaalā thā
magar vo ḳhvāb mirī dastaras meñ aayā na.iiñ
savāl ye hai ki dasht-e-badan kā kyā hogā
agar junūñ kā parinda qafas meñ aayā na.iiñ
ajab nahīñ ki ye bāheñ kuchal ke rakh detīñ
bhalā huā vo hisār-e-havas meñ aaya na.iiñ
ye kaun hai jo hameñ tuul detā rahtā hai
ye kaun hai jo zad-e-pesh-o-pas meñ aayā na.iiñ
mera wajud shumar-e-nafas mein aaya nain
tamam-umr main sanson ke bas mein aaya nain
nuqush-e-lams-e-haqiqat miTane wala tha
magar wo KHwab meri dastaras mein aaya nain
sawal ye hai ki dasht-e-badan ka kya hoga
agar junun ka parinda qafas mein aaya nain
ajab nahin ki ye bahen kuchal ke rakh detin
bhala hua wo hisar-e-hawas mein aaya nain
ye kaun hai jo hamein tul deta rahta hai
ye kaun hai jo zad-e-pesh-o-pas mein aaya nain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.