mera yar mujhse juda ho gaya
mirā yaar mujh se judā ho gayā
ye kyā kah rahe ho ye kyā ho gayā
sitāre kā koī bharosa nahīñ
kabhī gum kabhī rūnumā ho gayā
tum ik martaba kyā dikhā.ī diye
mirā kaam hī dekhnā ho gayā
falak ne palaT kar na dekhā kabhī
koī ḳhush huā yā ḳhafā ho gayā
sunāne lagā āp-bītī 'sha'ūr'
ġhazab ḳhairiyat pūchhnā ho gayā
mera yar mujh se juda ho gaya
ye kya kah rahe ho ye kya ho gaya
sitare ka koi bharosa nahin
kabhi gum kabhi runuma ho gaya
tum ek martaba kya dikhai diye
mera kaam hi dekhna ho gaya
falak ne palaT kar na dekha kabhi
koi KHush hua ya KHafa ho gaya
sunane laga aap-biti 'sha'ur'
ghazab KHairiyat puchhna ho gaya
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 61)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.