mera ye jazba-e-dil kam nahin hai
mirā ye jazba-e-dil kam nahīñ hai
mirī hasrat meñ ab tak ḳham nahīñ hai
balā se husn maane ye na maane
uḌaan ab ishq kī bhī kam nahīñ hai
hamāre dil meñ ab tak hai tasallī
ki vo apnā hai aur barham nahīñ hai
mujhe aksar vo kah dete haiñ pāgal
ye mere hosh kā aalam nahīñ hai
shab-e-ġham raat bhar royā to bole
abhī to aañkh bhī pur-nam nahīñ hai
maiñ manzil kī taraf baḌhtā rahūñgā
mujhe nākāmiyoñ kā ġham nahīñ hai
charāġh-e-hastī-e-ġham jal rahā hai
abhī tak raushnī maddham nahīñ hai
mera ye jazba-e-dil kam nahin hai
meri hasrat mein ab tak KHam nahin hai
bala se husn mane ye na mane
uDan ab ishq ki bhi kam nahin hai
hamare dil mein ab tak hai tasalli
ki wo apna hai aur barham nahin hai
mujhe aksar wo kah dete hain pagal
ye mere hosh ka aalam nahin hai
shab-e-gham raat bhar roya to bole
abhi to aankh bhi pur-nam nahin hai
main manzil ki taraf baDhta rahunga
mujhe nakaamiyon ka gham nahin hai
charagh-e-hasti-e-gham jal raha hai
abhi tak raushni maddham nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.