mera zad-e-qayamat kuchh nahin hai
mirā zād-e-qayāmat kuchh nahīñ hai
ba-juz ashk-e-nadāmat kuchh nahīñ hai
koī to phuul pheñke merī jānib
ki ye sañg-e-malāmat kuchh nahīñ hai
zamāna aa gayā hai kuchh nayā sā
buzurgī aur qadāmat kuchh nahīñ hai
bahut hoñge abhī āsār zāhir
maraz kī ik alāmat kuchh nahīñ hai
muqābil 'āftāb-ahmad' bahut haiñ
tirā to qadd-o-qāmat kuchh nahīñ hai
mera zad-e-qayamat kuchh nahin hai
ba-juz ashk-e-nadamat kuchh nahin hai
koi to phul phenke meri jaanib
ki ye sang-e-malamat kuchh nahin hai
zamana aa gaya hai kuchh naya sa
buzurgi aur qadamat kuchh nahin hai
bahut honge abhi aasar zahir
maraz ki ek alamat kuchh nahin hai
muqabil 'aftab-ahmad' bahut hain
tera to qadd-o-qamat kuchh nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.