Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere aansuon pe nazar na kar mera shikwa sun ke KHafa na ho

Kaif Ikrami

mere aansuon pe nazar na kar mera shikwa sun ke KHafa na ho

Kaif Ikrami

MORE BYKaif Ikrami

    mire āñsuoñ pe nazar na kar mirā shikva sun ke ḳhafā na ho

    use zindagī bhī haq nahīñ jise dard-e-ishq milā na ho

    ye ināyateñ ye navāzisheñ mire dard-e-dil davā nahīñ

    mujhe us nazar talāsh hai jo adā-shanās-e-vafā na ho

    tujhe kyā batā.ūñ maiñ be-ḳhabar ki hai dard-e-ishq meñ kyā asar

    ye hai vo latīf kaifiyat jo zabāñ tak aa.e adā na ho

    ye sharāb zer-e-hasīñ-ghaTā jo hai 'kaif' nāzish-e-mai-kada

    kisī tishna-kām aarzū kisī tishna-lab duā na ho

    mere aansuon pe nazar na kar mera shikwa sun ke KHafa na ho

    use zindagi ka bhi haq nahin jise dard-e-ishq mila na ho

    ye inayaten ye nawazishen mere dard-e-dil ki dawa nahin

    mujhe us nazar ki talash hai jo ada-shanas-e-wafa na ho

    tujhe kya bataun main be-KHabar ki hai dard-e-ishq mein kya asar

    ye hai wo latif si kaifiyat jo zaban tak aae ada na ho

    ye sharab zer-e-hasin-ghaTa jo hai 'kaif' nazish-e-mai-kada

    kisi tishna-kaam ki aarzu kisi tishna-lab ki dua na ho

    Source :
    • Book : Junoon (Pg. 140)
    • Author : Naseem Muqri
    • Publication : Naseem Muqri (1990)
    • Edition : 1990
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now