mere baad sansen bhi khoya karega
mire baa'd sāñseñ bhī khoyā karegā
tū bār-e-ġham-e-ishq Dhoyā karegā
mayassar tujhe har ḳhushī hogī lekin
mujhe yaad kar ke tū royā karegā
maiñ sehn-e-gulistāñ meñ jab na milūñgī
tū phūloñ ke dāman bhigoyā karegā
koī chāñd kī pālkī se utar ke
tire shab-kade meñ hī soyā karegā
kisī ne kahā thā ki Dhaltā huā din
udāsī tire dil meñ boyā karegā
ba-zāhir tire saath koī na hogā
koī to magar saath hoyā karegā
har ik chiiz par dastaras hogī terī
magar chain se tū na soyā karegā
kabhī chāñd utregā jab pāniyoñ meñ
badan ke sabhī daaġh dhoyā karegā
mire haath par haath rakkhā hai us ne
bichhaḌne kī bāteñ bhī goyā karegā
samundar kī tujh ko duā hai ki ab tū
kināre pe kashtī Duboyā karegā
na dushvār ho us kā 'jīnā' ḳhudāyā
vagarna ye dil merā royā karegā
mere ba'd sansen bhi khoya karega
tu bar-e-gham-e-ishq Dhoya karega
mayassar tujhe har KHushi hogi lekin
mujhe yaad kar ke tu roya karega
main sehn-e-gulistan mein jab na milungi
tu phulon ke daman bhigoya karega
koi chand ki palki se utar ke
tere shab-kade mein hi soya karega
kisi ne kaha tha ki Dhalta hua din
udasi tere dil mein boya karega
ba-zahir tere sath koi na hoga
koi to magar sath hoya karega
har ek chiz par dastaras hogi teri
magar chain se tu na soya karega
kabhi chand utrega jab paniyon mein
badan ke sabhi dagh dhoya karega
mere hath par hath rakkha hai us ne
bichhaDne ki baaten bhi goya karega
samundar ki tujh ko dua hai ki ab tu
kinare pe kashti Duboya karega
na dushwar ho us ka 'jina' KHudaya
wagarna ye dil mera roya karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.