mere badan pe tere wasl ke gulab lage
mire badan pe tire vasl ke gulāb lage
ye merī āñkhoñ pe kis rut meñ kaise ḳhvāb lage
na puurā soch sakūñ chhū sakūñ na paḌh pā.ūñ
kabhī vo chāñd kabhī gul kabhī kitāb lage
nahīñ milā thā to barsoñ guzar ga.e yūñhī
par ab to us ke binā har ghaḌī azaab lage
ye mere jism pe kaisā ḳhumār chhāyā hai
tumhāre jism meñ shāmil mujhe sharāb lage
hameñ to achchhā hī lagtā rahegā vo 'haidar'
balā se ham use achchhe lage ḳharāb lage
mere badan pe tere wasl ke gulab lage
ye meri aankhon pe kis rut mein kaise KHwab lage
na pura soch sakun chhu sakun na paDh paun
kabhi wo chand kabhi gul kabhi kitab lage
nahin mila tha to barson guzar gae yunhi
par ab to us ke bina har ghaDi azab lage
ye mere jism pe kaisa KHumar chhaya hai
tumhaare jism mein shamil mujhe sharab lage
hamein to achchha hi lagta rahega wo 'haidar'
bala se hum use achchhe lage KHarab lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.