mere bhi surKH-ru hone ka ek mauqa nikal aata
mire bhī surḳh-rū hone kā ik mauqa.a nikal aatā
ġham-e-jānāñ ke malbe se ġham-e-duniyā nikal aatā
ye maanā maiñ thakā-hārā musāfir huuñ magar phir bhī
tumhāre saath chalne kā koī rasta nikal aatā
tirī yādoñ kī pathrīlī zamīñ shādāb ho jaatī
agar āñkhoñ ke sahrā se koī dariyā nikal aatā
chalo achchhā huā Thahrā na vo bhī āḳhir-e-shab tak
ki us ke ba.ad to phir sub.h kā taarā nikal aatā
kahāñ be-tāb rakh saktā thā phir ehsās-e-mahrūmī
dayār-e-ġhair meñ tum sā koī apnā nikal aatā
ridā-e-āgahī ke bojh ne ḳham kar diyā varna
hamārā qad bhī phir tum se bahut ūñchā nikal aatā
mere bhi surKH-ru hone ka ek mauqa nikal aata
gham-e-jaanan ke malbe se gham-e-duniya nikal aata
ye mana main thaka-haara musafir hun magar phir bhi
tumhaare sath chalne ka koi rasta nikal aata
teri yaadon ki pathrili zamin shadab ho jati
agar aankhon ke sahra se koi dariya nikal aata
chalo achchha hua Thahra na wo bhi aaKHir-e-shab tak
ki us ke baad to phir subh ka tara nikal aata
kahan be-tab rakh sakta tha phir ehsas-e-mahrumi
dayar-e-ghair mein tum sa koi apna nikal aata
rida-e-agahi ke bojh ne KHam kar diya warna
hamara qad bhi phir tum se bahut uncha nikal aata
- Book : Khushk Tahni Zard Pattay (Pg. 18)
- Author : Yousuf Taqi
- Publication : Yousuf Taqi (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.