Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere dard ki tujhe kya KHabar hai jise KHabar koi aur hai

Purnam Allahabadi

mere dard ki tujhe kya KHabar hai jise KHabar koi aur hai

Purnam Allahabadi

MORE BYPurnam Allahabadi

    mire dard tujhe kyā ḳhabar hai jise ḳhabar koī aur hai

    ilaaj rahne de chārāgar mirā chārāgar koī aur hai

    vo jo aa.ine ke hai rū-ba-rū vahī aa.ine meñ hai hū-ba-hū

    ye na soch ye na ḳhayāl kar ki idhar udhar koī aur hai

    haiñ jahāñ meñ ek se ik hasīñ kamī husn vāloñ to nahīñ

    jise chāhtā huuñ maiñ ham-nashīñ vo hasīñ magar koī aur hai

    alag apnī raah le nāsehā mujhe tere rāh-numā se kyā

    tirā rāhbar koī aur hai mirā rāhbar koī aur hai

    na farishta hai na hai aadmī ye ġhalat kisī ne samajh liyā

    mire saath rāh-e-hayāt meñ mirā ham-safar koī aur hai

    vo tirī nazar fareb hai zarā dekh dil nigāh se

    jise samajhtā hai rāh-rau sar-e-rahguzar koī aur hai

    yahāñ 'purnam' apnā na dil lagā ki yahāñ qayām hai aarzī

    jahāñ tujh ko rahnā hai mustaqil vo makāñ vo ghar koī aur hai

    mere dard ki tujhe kya KHabar hai jise KHabar koi aur hai

    tu ilaj rahne de chaaragar mera chaaragar koi aur hai

    wo jo aaine ke hai ru-ba-ru wahi aaine mein hai hu-ba-hu

    ye na soch ye na KHayal kar ki idhar udhar koi aur hai

    hain jahan mein ek se ek hasin kami husn walon ki to nahin

    jise chahta hun main ham-nashin wo hasin magar koi aur hai

    alag apni rah le naseha mujhe tere rah-numa se kya

    tera rahbar koi aur hai mera rahbar koi aur hai

    na farishta hai na hai aadmi ye ghalat kisi ne samajh liya

    mere sath rah-e-hayat mein mera ham-safar koi aur hai

    wo teri nazar ka fareb hai zara dekh dil ki nigah se

    jise tu samajhta hai rah-rau sar-e-rahguzar koi aur hai

    yahan 'purnam' apna na dil laga ki yahan qayam hai aarzi

    jahan tujh ko rahna hai mustaqil wo makan wo ghar koi aur hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now