mere dast-e-junun ki fitna-samani ko kya kahiye
mire dast-e-junūñ kī fitna-sāmānī ko kyā kahiye
ki ik aalam pareshāñ hai pareshānī ko kyā kahiye
jahān-e-rang-o-bū kī vus.ateñ vaq.at nahīñ rakhtīñ
mire josh-e-taḳhayyul kī farāvānī ko kyā kahiye
kisī kī yaad se qaa.em hai raunaq bazm-e-imkāñ meñ
kisī kī yaad ke jalvoñ kī tābānī ko kyā kahiye
lab-e-lālīñ se piine meñ mujhe kyā aar hai hamdam
sisaktī chīḳhtī is nau-e-insānī ko kyā kahiye
kisī sūrat dil-e-mahzūñ ko bahlāyā nahīñ jaatā
dil-e-mahzūñ kī is turfa pareshānī ko kyā kahiye
yahī maujeñ kabhī ruḳh pher detī thiiñ safīnoñ kā
inhīñ maujoñ kī ab be-sāz-o-sāmānī ko kyā kahiye
mere dast-e-junun ki fitna-samani ko kya kahiye
ki ek aalam pareshan hai pareshani ko kya kahiye
jahan-e-rang-o-bu ki wusaten waqat nahin rakhtin
mere josh-e-taKHayyul ki farawani ko kya kahiye
kisi ki yaad se qaem hai raunaq bazm-e-imkan mein
kisi ki yaad ke jalwon ki tabani ko kya kahiye
lab-e-lalin se pine mein mujhe kya aar hai hamdam
sisakti chiKHti is nau-e-insani ko kya kahiye
kisi surat dil-e-mahzun ko bahlaya nahin jata
dil-e-mahzun ki is turfa pareshani ko kya kahiye
yahi maujen kabhi ruKH pher deti thin safinon ka
inhin maujon ki ab be-saz-o-samani ko kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.