mere dil ke dagh KHuda rakhe rah-e-gham mein jalwa-kunan rahe
mere dil ke dagh KHuda rakhe rah-e-gham mein jalwa-kunan rahe
Bahar Barni
MORE BYBahar Barni
mire dil ke daaġh ḳhudā rakhe rah-e-ġham meñ jalva-kunāñ rahe
kabhī chāñdnī kī tarah khile kabhī ban ke kāhkashāñ rahe
vahī aarzū vahī marhale vahī justujū vahī silsile
tujhe pā ke bhī vahī fāsle tirī qurbatoñ meñ nihāñ rahe
maiñ shikasta-hāl-o-shikasta-pā tah-e-dām aa bhī gayā to kyā
mirī aarzū meñ to dam rahā mire hausle to javāñ rahe
ye batā ki sāqī-e-ḳhush-nazar vahī jaam hai vahī mai magar
vo balā-kashān-e-junūñ-asar tire mai-kade meñ kahāñ rahe
koī kyā 'bahār' samajh sake ki ye apnā apnā nasīb hai
koī dāġh-e-nūr-e-jabīñ bane koī rūh-o-dil kā ziyāñ rahe
mere dil ke dagh KHuda rakhe rah-e-gham mein jalwa-kunan rahe
kabhi chandni ki tarah khile kabhi ban ke kahkashan rahe
wahi aarzu wahi marhale wahi justuju wahi silsile
tujhe pa ke bhi wahi fasle teri qurbaton mein nihan rahe
main shikasta-haal-o-shikasta-pa tah-e-dam aa bhi gaya to kya
meri aarzu mein to dam raha mere hausle to jawan rahe
ye bata ki saqi-e-KHush-nazar wahi jam hai wahi mai magar
wo bala-kashan-e-junun-asar tere mai-kade mein kahan rahe
koi kya 'bahaar' samajh sake ki ye apna apna nasib hai
koi dagh-e-nur-e-jabin bane koi ruh-o-dil ka ziyan rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.