mere dil ki KHataen bhi qayamat hain qayamat hain
mire dil kī ḳhatā.eñ bhī qayāmat haiñ qayāmat haiñ
ḳhatāoñ par sazā.eñ bhī qayāmat haiñ qayāmat haiñ
kahāñ se maiñ kahāñ aayā kahāñ se dil kahāñ pahuñchā
mohabbat kī havā.eñ bhī qayāmat haiñ qayāmat haiñ
nahīñ ma.alūm kyā roz-e-jazā pesh aane vaalā hai
qayāmat meñ sazā.eñ bhī qayāmat haiñ qayāmat haiñ
koī jiitā hai un se aur martā hai koī un par
lagāvaT kī adā.eñ bhī qayāmat haiñ qayāmat haiñ
ilāj-e-ishq se ai chāra-gar taklīf baḌhtī hai
mire haq meñ davā.eñ bhī qayāmat haiñ qayāmat haiñ
yahī kahtā hai sun sun kar vo ahl-e-ġham ke nāloñ ko
faqīroñ kī sadā.eñ bhī qayāmat haiñ qayāmat haiñ
idhar merī tabī.at bhī nahīñ ruktī nahīñ thamtī
udhar un kī adā.eñ bhī qayāmat haiñ qayāmat haiñ
chalo rindoñ baḌho aao piyo phir fasl-e-gul aa.ī
ye saaqī kī sadā.eñ bhī qayāmat haiñ qayāmat haiñ
kahīñ aisā na ho baḌh jaa.e pahle se junūñ merā
ghaTā.eñ bhī havā.eñ bhī qayāmat haiñ qayāmat haiñ
qayāmat ke jo munkir hoñ vo dekheñ merī ā.ankhoñ se
hasīnoñ kī adā.eñ bhī qayāmat haiñ qayāmat haiñ
dam-e-be-dād vo ai 'nūh' dil meñ ye samajh rakkhe
hamārī bad-duā.eñ bhī qayāmat haiñ qayāmat haiñ
mere dil ki KHataen bhi qayamat hain qayamat hain
KHataon par sazaen bhi qayamat hain qayamat hain
kahan se main kahan aaya kahan se dil kahan pahuncha
mohabbat ki hawaen bhi qayamat hain qayamat hain
nahin malum kya roz-e-jaza pesh aane wala hai
qayamat mein sazaen bhi qayamat hain qayamat hain
koi jita hai un se aur marta hai koi un par
lagawaT ki adaen bhi qayamat hain qayamat hain
ilaj-e-ishq se ai chaara-gar taklif baDhti hai
mere haq mein dawaen bhi qayamat hain qayamat hain
yahi kahta hai sun sun kar wo ahl-e-gham ke nalon ko
faqiron ki sadaen bhi qayamat hain qayamat hain
idhar meri tabiat bhi nahin rukti nahin thamti
udhar un ki adaen bhi qayamat hain qayamat hain
chalo rindon baDho aao piyo phir fasl-e-gul aai
ye saqi ki sadaen bhi qayamat hain qayamat hain
kahin aisa na ho baDh jae pahle se junun mera
ghaTaen bhi hawaen bhi qayamat hain qayamat hain
qayamat ke jo munkir hon wo dekhen meri aaankhon se
hasinon ki adaen bhi qayamat hain qayamat hain
dam-e-be-dad wo ai 'nuh' dil mein ye samajh rakkhe
hamari bad-duaen bhi qayamat hain qayamat hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.