mere dil ko shauq-e-fughan nahin mere lab tak aati dua nahin
mere dil ko shauq-e-fughan nahin mere lab tak aati dua nahin
Haidar Ali Aatish
MORE BYHaidar Ali Aatish
mire dil ko shauq-e-fuġhāñ nahīñ mire lab tak aatī duā nahīñ
vo dahan huuñ jis meñ zabāñ nahīñ vo jaras huuñ jis meñ sadā nahīñ
na tujhe dimāġh-e-nigāh hai na kisī ko tāb-e-jamāl hai
unheñ kis tarah se dikhā.ūñ maiñ vo jo kahte haiñ ki ḳhudā nahīñ
kise niiñd aatī hai ai sanam tire tāq-e-abrū kī yaad meñ
kabhī ā.shnā-e-tah-e-baġhal sar-e-murġh-e-qibla-numā nahīñ
ajab is kā kyā na samā.ūñ maiñ jo ḳhayāl-e-dushman-o-dost hai
vo maqām huuñ ki guzar nahīñ vo makān huuñ ki patā nahīñ
ye ḳhilāf ho gayā āsmāñ ye havā zamāne kī phir ga.ī
kahīñ gul khile bhī to buuñd se kahīñ husn hai to vafā nahīñ
maraz-e-judā.ī-e-yār ne ye bigāḌ dī hai hamārī ḳhū
ki muāfiq apne mizāj ke nazar aatī koī davā nahīñ
mujhe zāfrān se zard-tar ġham-e-hijr-e-yār ne kar diyā
nahīñ aisā koī zamāne meñ mire haal par jo hañsā nahīñ
mire aage us ko faroġh ho ye majāl kyā hai raqīb kī
ye hujūm-e-jalva-e-yār hai ki charāġh-e-ḳhāna ko jā nahīñ
chaleñ go ki saikḌoñ āñdhiyāñ jaleñ garche laakh ghar ai falak
bhaḌak uTThe 'ātish'-e-tūr phir koī is tarah kī davā nahīñ
mere dil ko shauq-e-fughan nahin mere lab tak aati dua nahin
wo dahan hun jis mein zaban nahin wo jaras hun jis mein sada nahin
na tujhe dimagh-e-nigah hai na kisi ko tab-e-jamal hai
unhen kis tarah se dikhaun main wo jo kahte hain ki KHuda nahin
kise nind aati hai ai sanam tere taq-e-abru ki yaad mein
kabhi aashna-e-tah-e-baghal sar-e-murgh-e-qibla-numa nahin
ajab is ka kya na samaun main jo KHayal-e-dushman-o-dost hai
wo maqam hun ki guzar nahin wo makan hun ki pata nahin
ye KHilaf ho gaya aasman ye hawa zamane ki phir gai
kahin gul khile bhi to bund se kahin husn hai to wafa nahin
maraz-e-judai-e-yar ne ye bigaD di hai hamari KHu
ki muafiq apne mizaj ke nazar aati koi dawa nahin
mujhe zafran se zard-tar gham-e-hijr-e-yar ne kar diya
nahin aisa koi zamane mein mere haal par jo hansa nahin
mere aage us ko farogh ho ye majal kya hai raqib ki
ye hujum-e-jalwa-e-yar hai ki charagh-e-KHana ko ja nahin
chalen go ki saikDon aandhiyan jalen garche lakh ghar ai falak
bhaDak uTThe 'atish'-e-tur phir koi is tarah ki dawa nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.