mere dil se mohabbat ki farawani nahin jati
mire dil se mohabbat kī farāvānī nahīñ jaatī
maiñ aksar sochtā huuñ kyoñ ye nādānī nahīñ jaatī
ye hālat ho ga.ī hai shiddat-e-ḳhatrāt-e-paiham se
ki achchhe aadmī kī shakl pahchānī nahīñ jaatī
gharoñ kī raunaqeñ kilkāriyāñ bachchoñ kī hotī haiñ
khilaunoñ ko sajā kar ghar kī vīrānī nahīñ jaatī
na rasm-o-rāh hai un se na baaqī vāsta koī
magar palkeñ jo kartī haiñ nigahbānī nahīñ jaatī
buzurgoñ se sunā hai maañ ke qadmoñ meñ hī jannat hai
ki ḳhālī barkatoñ se maañ kī qurbānī nahīñ jaatī
mere dil se mohabbat ki farawani nahin jati
main aksar sochta hun kyon ye nadani nahin jati
ye haalat ho gai hai shiddat-e-KHatraat-e-paiham se
ki achchhe aadmi ki shakl pahchani nahin jati
gharon ki raunaqen kilkariyan bachchon ki hoti hain
khilaunon ko saja kar ghar ki virani nahin jati
na rasm-o-rah hai un se na baqi wasta koi
magar palken jo karti hain nigahbani nahin jati
buzurgon se suna hai man ke qadmon mein hi jannat hai
ki KHali barkaton se man ki qurbani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.