mere farzana banne ka bahut imkan baqi hai
mire farzāna banñe kā bahut imkān baaqī hai
abhī jaib-o-garebāñ kī mujhe pahchān baaqī hai
mire siine meñ tere tiir kā paikān baaqī hai
ba-alfāz-e-digar rūdād kā unvān baaqī hai
baqā-e-jāvedāñ baḳhshī hai jis ko terī nazroñ ne
mire dil meñ abhī aisā bhī ik armān baaqī hai
sarisht-e-husn kā tabdīl honā ġhair-mumkin hai
sarisht-e-ishq meñ jis vaqt tak armān baaqī hai
'azīz-vārsī' us kī haqīqat kis tarah samjhe
abhī to zaat kā apnī hī kuchh irfān baaqī hai
mere farzana banne ka bahut imkan baqi hai
abhi jaib-o-gareban ki mujhe pahchan baqi hai
mere sine mein tere tir ka paikan baqi hai
ba-alfaz-e-digar rudad ka unwan baqi hai
baqa-e-jawedan baKHshi hai jis ko teri nazron ne
mere dil mein abhi aisa bhi ek arman baqi hai
sarisht-e-husn ka tabdil hona ghair-mumkin hai
sarisht-e-ishq mein jis waqt tak arman baqi hai
'aziz-warsi' us ki haqiqat kis tarah samjhe
abhi to zat ka apni hi kuchh irfan baqi hai
- Book : Mehraab (Pg. 125)
- Author : Aziiz vaarsii
- Publication : Maktaba Nida-e-ittiihaad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.