mere gham ki unhen kis ne KHabar ki
mire ġham kī unheñ kis ne ḳhabar kī
ga.ī kyuuñ ghar se bāhar baat ghar kī
ghuTā jaatā hai dam ruḳhsat huā kaun
ye duniyā gard hai kis ke safar kī
ye kaisā khel hai ai chashm-e-pur-fan
udhar kyuuñ ho ga.ī duniyā idhar kī
hunar sīkhā zamāna aib kā thā
ḳhatā kī aur ham ne jaan kar kī
bahut rusvā hue bas ai duā bas
ḳhushāmad ab nahīñ hotī asar kī
bahut kyuuñ ho na rusvā.ī hamārī
yahī to hai kamā.ī umr bhar kī
Talī 'nātiq' musībat jaan le kar
hameñ ruḳhsat kiyā aur aap sarkī
mere gham ki unhen kis ne KHabar ki
gai kyun ghar se bahar baat ghar ki
ghuTa jata hai dam ruKHsat hua kaun
ye duniya gard hai kis ke safar ki
ye kaisa khel hai ai chashm-e-pur-fan
udhar kyun ho gai duniya idhar ki
hunar sikha zamana aib ka tha
KHata ki aur hum ne jaan kar ki
bahut ruswa hue bas ai dua bas
KHushamad ab nahin hoti asar ki
bahut kyun ho na ruswai hamari
yahi to hai kamai umr bhar ki
Tali 'natiq' musibat jaan le kar
hamein ruKHsat kiya aur aap sarki
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 75)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.