mere ghar ki inTen chura le gaya wo
mire ghar kī īñTeñ churā le gayā vo
nahīñ jāntā hai ki kyā le gayā vo
use kyā zarūrat thī vo jāntā hai
jo ghar meñ parāyā ḳhudā le gayā vo
sar-e-rāh jis ne kiyā qatl merā
sitam hai mirā ḳhūñ-bahā le gayā vo
mirā rotā bachcha bahaltā thā jis se
vo lakḌī kā hāthī uThā le gayā vo
saḳhāvat ne us ko dhanī kar diyā hai
faqīroñ kī sachchī duā le gayā vo
use to zarūrat thī chiñgāriyoñ kī
havāoñ meñ sho.ale dabā le gayā vo
vo kal aa.egā aag is meñ lagāne
mirī jhoñpaḌī kā pata le gayā vo
lubhāne kī us meñ adā kab thī pahle
mirī shā.erī kī adā le gayā vo
vo but ham se mil kar banā somnātī
ki sone kā paanī chaḌhā le gayā vo
mere ghar ki inTen chura le gaya wo
nahin jaanta hai ki kya le gaya wo
use kya zarurat thi wo jaanta hai
jo ghar mein paraya KHuda le gaya wo
sar-e-rah jis ne kiya qatl mera
sitam hai mera KHun-baha le gaya wo
mera rota bachcha bahalta tha jis se
wo lakDi ka hathi uTha le gaya wo
saKHawat ne us ko dhani kar diya hai
faqiron ki sachchi dua le gaya wo
use to zarurat thi chingariyon ki
hawaon mein shoale daba le gaya wo
wo kal aaega aag is mein lagane
meri jhonpaDi ka pata le gaya wo
lubhane ki us mein ada kab thi pahle
meri shaeri ki ada le gaya wo
wo but hum se mil kar bana somnati
ki sone ka pani chaDha le gaya wo
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 279)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.